zakhm par rakhta hai marham aasman nashtar samet amn ka paigham deti hai hawa khanjar samet jab mere hamdard ne be-dast-o-pa dekha mujhe le gaya mere samundar se sadaf gauhar samet chaar-jaanib aag bhadkai gai is taur se ahl-e-binash ki nazar bhi jal gai manzar samet aasman ki chhat zamin ka farsh bakhshta jaega ghar ujade jaenge buniyaad ke patthar samet tez raftari ne duniya ki udaya ye ghubar har saman dhundla gaya us aaina-paikar samet jal rahe hain jo lahu se un diyon ke samne haar baithe hain parastran-e-sarsar sarsar samet dekhna ye aansuon ki chand bundon ka kamal lahlha uthi hai pathrili zamin banjar samet main ne tera nam le kar jab rakha takiye pe sar sara kamra khushbuon se bhar gaya bistar samet murgh-e-kam-himmat faza-e-be-karan hote hue aashiyane tak raha mahdud baal-o-par samet kal zamin mere muqabil wazn mein halki padi mujh ko jab rakkha gaya palre mein chashm-e-tar samet is tahi dasti mein 'mahir' aabru ka kya sawal hum ganwa baithe hain dastar-e-fazilat sar samet