khala sa thahra hua hai ye chaar-su kaisa ujad ho gaya ek shahr-e-rang-o-bu kaisa tamam halqa-e-khwab-o-khayal hairan hai sawad-e-chashm mein aaya ye mah-ru kaisa kabhi jo fursat-e-yak-lamha bhi mile to dekh ki dasht-e-yaad mein bikhra pada hai tu kaisa agarche shora hi shora sab ilaqa-e-dil tujhe rakkha hai magar sabz o pur-numu kaisa sara-e-dil mein kai din se sham hote hi dhuan sa phailne lagta hai ku-ba-ku kaisa zara jo sochen to ye masala bhi hal ho jae ki hona chahiye ab rang-e-arzu kaisa