zakhm par zakhm muhibban-e-sitam dete gae tah-ba-tah jam gae gham phir bhi wo gham dete gae hum unhen kashf ki surat nazar aae har waqt wo magar hum ko faqat khwab-e-adam dete gae gul the maqsud hamara tha samar ho jaana tod kar shakh se kyon ranj-o-alam dete gae ahl-e-baatil ki ye sazish thi ki mafluj ho fikr nam le le ke haqiqat ka bharam dete gae ahal-e-quwwat ke ishaaron pe qalam chalta gaya wo ewaz mein use ek khas raqam dete gae lagta hai ruk si gai waliyon ki afzaish-e-nasl aur shaitanon ko shaitan janam dete gae thahre mahbub unhen thagne ka haq tha 'jawed' hukm dete rahe jis chiz ka hum dete gae