zist be-barg-o-samar ho jaise koi barbaad shajar ho jaise dub jata hai har ek manzar-e-khwab teri aankhon mein bhanwar ho jaise koi do pal bhi thaharta hi nahin dil ki ujda hua ghar ho jaise yun khalaon mein taka karte hain dur tak rahguzar ho jaise zindagi hai ki ufuq-ta-ba-ufuq ek ghani chup ka safar ho jaise