zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha

zakhm to bahut aae phir bhi hausla rakkha
umr-bhar mohabbat mein hum ne dil bada rakkha

jis ne ek lamha bhi tujh se wasta rakkha
apne-ap ko khud se umr-bhar juda rakkha

barg-e-khushk ki surat log ho ke aawara
sochte hain sarsar ka nam kyun saba rakkha

jab use na aana tha phir ye kis tawaqqoa par
hum ne ghar ka darwaza raat-bhar khula rakkha

dil gham-e-zamana ki dastaras mein kya aata
pattharon ki zad par khud hum ne aaina rakkha

ishq ko saliqe se kuchh hamin ne barta hai
warna qurbaton mein yun kis ne fasla rakkha

yaad kar ke roega tu suluk ghairon ka
tu ne 'khawar' apnon se kuchh jo wasta rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close