ruki ruki si shab-e-marg khatm par aai wo pau phati wo nai zindagi nazar aai ye mod wo hai ki parchhaiyan bhi dengi na sath musafiron se kaho us ki rahguzar aai faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai kahin zaman-o-makan mein hai nam ko bhi sukun magar ye baat mohabbat ki baat par aai kisi ki bazm-e-tarab mein hayat batti thi umid-waron mein kal maut bhi nazar aai kahan har ek se insaniyat ka bar utha ki ye bala bhi tere aashiqon ke sar aai dilon mein aaj teri yaad muddaton ke baad ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aai naya nahin hai mujhe marg-e-na-gahan ka payam hazar rang se apni mujhe khabar aai faza ko jaise koi rag chirta jae teri nigah dilon mein yunhi utar aai zara visal ke baad aaina to dekh ai dost tere jamal ki doshizgi nikhar aai tera hi aks sarishk-e-gham-e-zamana mein tha nigah mein teri taswir si utar aai ajab nahin ki chaman-dar-chaman bane har phul kali kali ki saba ja ke god bhar aai shab-e-'firaq' uthe dil mein aur bhi kuchh dard kahun ye kaise teri yaad raat-bhar aai