zakhmi hun tere nawak-e-duz-dida-nazar se jaane ka nahin chor mere zakhm-e-jigar se hum khub hain waqif tere andaz-e-kamar se ye tar nikalta hai koi dil ke guhar se phir aae agar jite wo kabe ke safar se to jaano phire shaikh-ji allah ke ghar se sarmaya-e-ummid hai kya pas hamare ek aah hai sine mein so na-ummid asar se wo khulq se pesh aate hain jo faiz-rasan hain hain shakh-e-samar-dar mein gul pahle samar se hazir hain mere jazba-e-wahshat ke jilau mein bandhe hue kohsar bhi daman ko kamar se labrez mai-e-saf se hon jam-e-bilorin zamzam se hai matlab na safa se na hajar se ashkon mein bahe jate hain hum su-e-dar-e-yar maqsud rah-e-kaba hai dariya ke safar se fariyaad-e-sitam-kash hai wo shamshir-e-kashida jis ka na ruke war falak ki bhi sipar se khulta nahin dil band hi rahta hai hamesha kya jaane ki aa jae hai tu is mein kidhar se uf garmi-e-wahshat ki meri thokaron hi mein patthar hain pahadon ke ude jate sharar se kuchh rahmat-e-bari se nahin dur ki saqi roen jo zara mast to mai abr se barse main kushta hun kis chashm-e-siyah-mast ka ya rab tapke hai jo masti meri turbat ke shajar se nalon ke asar se mere phoda sa hai pakta kyun rim sada nikle na aahan ke jigar se ai 'zauq' kisi hamdam-e-derina ka milna behtar hai mulaqat-e-masiha-o-khizar se