zakhmon ki dukanon pe kharidar bhi aae bazar hai to raunaq-e-bazar bhi aae shanon pe yahan sar ki jagah kase lage hain gar sar ki bahaali ho to dastar bhi aae lo haq ke liye apni jaden chhod din hum ne ab ghar se nikal kar koi ansar bhi aae koshish ka ye chaak aur ghumaunga main kab tak jiwan pe mere ab koi aakar bhi aae kaam aaenge ye chaak-e-gareban ke rafu mein kuchh gham nahin hisse mein agar khar bhi aae