jab uthe tere aastane se jaaniyo uth gae zamane se din bhala intizar mein guzra raat katenge kis bahane se jaan bhi kuchh hai jo na kije nisar mar na jaenge us ke jaane se ek us zulf se uthaya hath chhat gae lakhon shakhsane se koi mar jao kaam hai us ko apni tarwar aazmane se us ke tir-e-nigah ke aage kuchh hamin ban gae nishane se na-tawani tujhe ghazab aae gae us ki gali ke jaane se kahan bangala aur kahan main 'raza' bas nahin chalta aab-o-dane se