zakhmon ko marham kahta hun qatil ko masiha kahta hun jo dil par guzra karti hai main parda parda kahta hun zulfon ko ghataen kahta hun rukhsar ko shoala kahta hun tum jitne achchhe lagte ho main us se achchha kahta hun ab rit yahi hai duniya ki tum bhi na bano begana kahin ilzam nahin dharta tum par ek ji ka dhdakna kahta hun arbab-e-chaman jo kahte hain wo nam mujhe malum nahin jis shakh pe koi phul na ho main us ko tamanna kahta hun 'qaisar' wo nawa la-hasil hai jo aa ke labon par lahrae chhu le jo dilon ki gahrai main us ko naghma kahta hun