zalil-o-khwar hoti ja rahi hai ghazal akhbar hoti ja rahi hai simatta ja raha hai ghar ka aangan ana diwar hoti ja rahi hai koi baadal koi surat koi dil nazar bimar hoti ja rahi hai tabassum zer-e-lab hai ek kahani haya kirdar hoti ja rahi hai hamare sat ye budhi sadi bhi gareban-tar hoti ja rahi hai