zaman-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yar aae ilahi ab to khizan jae aur bahaar aae sitam-zarifi-e-fitrat ye kya muamma hai ki jis kali ko bhi sunghun main bu-e-yar aae chaman ki har kali aamada-e-tabassum hai bahaar ban ke meri jaan-e-nau-bahaar aae hain tishna-kaam hum un baadalon se puchhe koi kahan bahaar ki pariyon ke takht utar aae tere khayal ki be-tabiyan maaz-allah ki ek bar bhulaen to lakh bar aae wo aaen yun mere aaghosh-e-ishq mein 'akhtar' ki jaise aankhon mein ek khwab-e-be-qarar aae