sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga main is bahaar mein sab ka hisab kar dunga main intizar mein hun tu koi sawal to kar yaqin rakh main tujhe la-jawab kar dunga hazar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar tujhe kabhi na kabhi be-naqab kar dunga mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par main neze neze ko shakh-e-gulab kar dunga mujhe yaqin ki mahfil ki raushni hun main use ye khauf ki mahfil kharab kar dunga mujhe gilas ke andar hi qaid rakh warna main sare shahr ka pani sharab kar dunga mahajanon se kaho thoda intizar karen sharab-khane se aa kar hisab kar dunga