zaman ke rang mein din-raat kya milata gaya main apne waqt se auqat kya milata gaya badan mein aa gai jughrafiyai tabdili tumhaare hath se main hath kya milata gaya phir is ke ba'd mujhe waqt ne qubul kiya main din ki sham se ek raat kya milata gaya ragon se nur meri phutne laga khud hi lahu mein ‘izzat-e-sadat kya milata gaya phir is ke ba'd kahani ne khud-kushi kar li wo dastan mein ek mat kya milata gaya wo baadshah-e-sukhan sab ko kar gaya hairan hamari baat se wo baat kya milata gaya phir us ki ‘izzat-o-takrim bazm ne dekhi ghazal ke sanche mein ek na't kya milata gaya sharab-e-wasl se har kaif uth gaya 'tahir' hansi-khushi tere sadmat kya milata gaya main bad-hawas tha 'tahir' tumhi kaho mujh se wo khak mein mere jazbaat kya milata gaya