ye karobar-e-faraghat tamam karne ko main subh ghar se nikalta hun sham karne ko main us ki aankh mein wapas wo khwab chhod aaya jo us ne bheja tha ninden haram karne ko ye aur baat ki mujh ko na tu samajh paya tadap raha hai zamana imam karne ko jahan mein koi mayassar nahin to kya gham hai sukut-e-lala-o-gul hai kalam karne ko kali ko phul bana kar guzar gai hai bahaar thahar gaya hai ye nam ehtiram karne ko abhi to shakh ke andar nihan hai angdai machal utha hai ye gulshan salam karne ko ghazal bhul gae apni chaukdi 'tahir' ye kaun dasht mein utra khiram karne ko