zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga sukut tha parda-dar jis ka wo raaz ab aashkar hoga guzar gaya ab wo daur saqi ki chhup ke pite the pine wale banega sara jahan mai-khana har koi baada-khwar hoga kabhi jo aawara-e-junun the wo bastiyon mein aa basenge barahna-pai wahi rahegi magar naya khar-zar hoga suna diya gosh muntazir ko hijaz ki khamushi ne aakhir jo ahd sahraiyon se bandha gaya tha par ustuwar hoga nikal ke sahra se jis ne ruma ki saltanat ko ulat diya tha suna hai ye qudsiyon se main ne wo sher phir hoshiyar hoga kiya mera tazkira jo saqi ne baada-khwaron ki anjuman mein to pir mai-khana sun ke kahne laga ki munh phat hai khar hoga dayar maghrib ke rahne walo khuda ki basti dukan nahin hai khara hai jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam-ayar hoga tumhaari tahzib apne khanjar se aap hi khud-kushi karegi jo shakh-e-nazuk pe aashiyana banega na-paedar hoga safina-e-barg-e-gul bana lega qafila mor-e-na-tawan ka hazar maujon ki ho kashakash magar ye dariya se par hoga chaman mein lala dikhata phirta hai dagh apna kali kali ko ye jaanta hai ki is dikhawe se dil jalon mein shumar hoga jo ek tha ai nigah tu ne hazar kar ke hamein dikhaya yahi agar kaifiyat hai teri to phir kise e'tibar hoga kaha jo qamri se main ne ek din yahan ke aazad pagal hain to ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdar hoga khuda ke aashiq to hain hazaron banon mein phirte hain mare mare main us ka banda banunga jis ko khuda ke bandon se pyar hoga ye rasm barham fana hai ai dil gunah hai jumbish nazar bhi rahegi kya aabru hamari jo tu yahan be-qarar hoga main zulmat-e-shab mein le ke niklunga apne darmanda karwan ko shah nishan hogi aah meri nafas mera shoala bar hoga nahin hai ghair az numud kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka tu ek nafas mein jahan se mitna tujhe misal sharar hoga na puchh iqbaal ka thikana abhi wahi kaifiyat hai us ki kahin sar-e-rah-guzar baitha sitam-kash intizar hoga