zamana ho gaya hai khwab dekhe lahu mein dard ka shab-tab dekhe manazir ko bahut muddat hui hai nigahon mein naya ek bab dekhe sitara sham ko jab aankh khole achanak chand ko payab dekhe wo chingari si de qurbat ki mujh ko to phir suraj ki aab-o-tab dekhe kai raaten huin khidki mein ghar ki talluq ka naya mahtab dekhe main lafzon ki nai faslen ugaun wo sannaton ke taza khwab dekhe meri aankhon mein sawan rang bhar de mujhe ai kash wo sairab dekhe na wo aawargi ka shauq 'ahmad' na koi dasht ko betab dekhe