bagh-e-alam mein rahe shadi-o-matam ki tarah phul ki tarah hanse ro diye shabnam ki tarah shikwa karte ho khushi tum se manai na gai hum se gham bhi to manaya na gaya gham ki tarah roz mahfil se uthate ho to dil dukhta hai ab nikalwao to phir hazrat-e-adam ki tarah lakh hum rind sahi hazrat-e-waiz lekin aaj tak hum ne na pi qibla-e-alam ki tarah tere andaz-e-jarahat ke nisar ai qatil khun zakhmon pe nazar aata hai marham ki tarah khauf dil se na gaya subh ke hone ka 'qamar' wasl ki raat guzari hai shab-e-gham ki tarah