zamana roz jise yunhi sangsar kare wo apne zakhm kahan tak bhala shumar kare koi batae kahan tak koi chaman-zada chaman ko apna lahu de ke lala-zar kare wo jis ne sadiyon bahaaron ke rang dekhe hon khizan se apne ko wo kaise ham-kanar kare jo ghar se nikla ho sach bolne ki niyyat se qadam qadam pe wo ab intizar-e-dar kare amir-e-shahr ke hathon mein qismaton ke charagh gharib apna koi kaise karobar kare ho zakhm zakhm agar jis ka lamha-e-imroz wo kaise marham-e-farda ka intizar kare jo lut gaya hai fasadon mein ab usi ke liye ye hukm hai ki wo haalat sazgar kare usi ko amn ka eazaz bhi mayassar hai ki shahr shahr mein paida jo intishaar kare shuur bakhsh do aisa chaman ki kaliyon ko jo phul phul ko shaista-e-bahaar kare gham-e-hayat ka manzil-shanas kya hoga wo aadmi jo rah-e-zist se farar kare khudi wo daulat-e-bedar hai jo duniya mein gada-gari mein bhi insan ko shahryar kare wahi hai nur-e-basirat ka aaina 'fakhir' jo aankh aakhir-e-shab tujh ko ashk-bar kare