zamana sakht kam-azar hai ba-jaan-e-asad wagarna hum to tawaqqoa ziyaada rakhte hain tan-e-ba-band-e-hawas dar nadada rakhte hain dil-e-z-kar-e-jahan uftada rakhte hain tamiz-e-zishti-o-neki mein lakh baaten hain ba-aks-e-aina yak-fard-e-sada rakhte hain ba-rang-e-saya hamein bandagi mein hai taslim ki dagh-e-dil ba-jabin-e-kushada rakhte hain ba-zahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnar sar-e-ba-pa-e-but-e-na-nihada rakhte hain muaf-e-be-huda-goi hain nasehan-e-aziz dil-e-ba-dast-e-nigare nadada rakhte hain ba-rang-e-sabza azizan-e-bad-zaban yak-dast hazar tegh-e-ba-zahr-ab-dada rakhte hain adab ne saunpi hamein surma-sai-e-hairat z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushada rakhte hain