yak-ba-yak hogi siyahi is qadar jati rahi kya kahen goya siyahi yak sar-e-mu bhi na thi go safedi mu ki yun raushan hai jun aab-e-hayat lekin apni to isi zulmat se thi zindagi dam-ba-dam bazm-e-surur o har ghadi sair-e-chaman ishrat-o-aish-o-nashat o khurmi o tazgi khanda-e-shadi se hargiz lab na hote the baham saghar o mina surud o raqs o khush-tabi hansi jam deta tha udhar saqi ba-minnat hath jod is taraf kya kya lagawat dilbaron ki thi nai gul-badan karte the kis kis taur izhaar-e-ishtiyaq ghuncha-lab milte the sau sau dil mein rakh kar be-kali koi deta tha mohabbat se gale mein hath dal koi deta tha zabardasti se bosa har ghadi koi deta tha mohabbat se gale mein hath dal koi deta tha zabardasti se bosa har ghadi jis taraf the dekhte aish-o-tarab ka josh tha masti o rindi hawas-bazi o be-andeshgi aan kar mu ki safedi ne ye kin barbaadiyan khol din jitni bandhin thin wo hawaen aish ki qad mein kham aankhon mein nam chehre pe jhurri rang zard sar se pa tak sakht na-khush manzari bad-haiati kya tamashe inqalab-e-charkh ke kahiye 'nazir' dam mein wo raunaq thi aur ek dam mein ye be-raunaqi