zamane ho gae umid-war hain hum log

zamane ho gae umid-war hain hum log
sitam-kashan-e-gham-e-rozgar hain hum log

junun kaam na aaya ki sare khwab-o-khayal
ulajh ke rah gae jin se wo khar hain hum log

jise tajassus-e-sabr-e-gurez-pa kahiye
isi khalish isi gham ka shikar hain hum log

sharab-e-tajraba-e-talkh pi chuke hain hum
sanbhal gae hain bahut hoshiyar hain hum log

na jaane kab kahan le jae kab kahan ruk jae
ye rakhsh-e-umr ki jis par sawar hain hum log

qasam tasalsul-e-lail-o-nahaar ki 'yakta'
sitam-kashan-e-gham-e-intizar hain hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close