zindagi ki rahon mein tum ho jalwa-gar tanha zulmaten hain har jaanib sham-e-rahguzar tanha shama ki tarah hum ne jal ke ta-sahar tanha zist ke andheron mein tai kiya safar tanha din guzar deta hun hans ke bazm-e-rindan mein zindagi pe rota hun shab ko jag kar tanha sath sab nibhate hain rah mein masarrat ki tai sabhi ko karni hai gham ki rahguzar tanha kis qadar pareshan hain ahl-e-ishq duniya mein mujh pe rashk karte hain mujh ko dekh kar tanha raaz-e-ishq duniya mein kab kisi ne samjha hai ek tum nahin 'yakta' us se be-khabar tanha