zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai yahi hai rang duniya ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai jawani ki hai aamad husn ki har-dam taraqqi hai teri surat tera naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai na aaega qarar us ko na mumkin hai qayam us ko hamara dil tera wada abhi kuchh hai abhi kuchh hai kabhi to justuju us ki kabhi gum aap ho jaana meri wahshat mera sauda abhi kuchh hai abhi kuchh hai ghurur-e-husn hai sar mein khayal-e-dilbari dil mein dimagh un ka mizaj un ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai zara main mehrban hona zara main jaan ke dushman ajab dil hai hasinon ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai tumhein kyun is qadar gham hai 'hafiz' apni tabahi ka yahi duniya ka hai naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai