yun utha de hamare ji se gharaz ho na tere siwa kisi se gharaz wo manaega jis se ruthe ho hum ko minnat se aajizi se gharaz ye bhi ehsan hai qanaat ka apni atki nahin kisi se gharaz ye mahal bhi maqam-e-ibrat hai aadmi ko ho aadmi se gharaz dard-mandon ko kya dawa se kaam gham-nasibon ko kya khushi se gharaz husn aaraishon ka ho muhtaj us ko aaine aarsi se gharaz chur hain nashsha-e-mohabbat mein mai se matlab na mai-kashi se gharaz der tak did ke maze lute khub nikli ye be-khudi se gharaz be-niyazi ki shan hi ye nahin us ko bandon ki bandi se gharaz teri khatir aziz hai warna mujh ko dushman ki dosti se gharaz hum mohabbat ke bande hain waiz hum ko kya bahs mazhabi se gharaz dair ho kaba ho kalisa ho us ki dhun us ki bandagi se gharaz shaikh ko is qadar pilate kyun mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz' aur hi kuchh hai shairi se gharaz