zamane ki badli nazar dekhte hain to hum khud ko sina-sipar dekhte hain nigahon mein wo jalwa-gar ho gae hain unhen dekhte hain jidhar dekhte hain jab aate hain khud-agahi par to phir hum na dar dekhte hain na sar dekhte hain chale aao jalwa-ba-jalwa ki hum bhi kahan tak hai tab-e-nazar dekhte hain jo apni haqiqat ko pahchante hain wo 'farman' ki rahguzar dekhte hain