dekh ke jis ko kabhi dil bhi na dhadka apna yaad kyon aata hai rah rah ke wo chehra hum ko har taraf se jo ye dil tuta to dhyan aata hai hae ek shakhs ne kis darja tha chaha hum ko sara din dhup mein jhulse hain to ab sham dhale kyon bulata hai har ek ped ghanera hum ko us ki chahat ko sahaara na kahun jine ka ras aata nahin koi bhi sahaara hum ko har-nafas hum ne sarabon mein guzara 'firoz' har ghadi pas bulata raha dariya hum ko