zamane ki koi parwa diwane se nahin hoti

zamane ki koi parwa diwane se nahin hoti
diwane ki bhi taqlid is zamane se nahin hoti

jahannum se daraate ho khuda mahbub bhi to hai
ibaadat dil se hoti hai darane se nahin hoti

wahi izzat bhi deta hai wahi zillat bhi deta hai
koi taqat ghatane aur badhane se nahin hoti

dilon ke rabt-e-baham se mohabbat ghatti badhti hai
ye ek jazba hai chahat aane jaane se nahin hoti

gulistan ki mahak se dil ki shadabi to badhti hai
ye surat kaghazi bute sajaane se nahin hoti

idhar wo nam lete hain udhar aawaz aati hai
mohabbat dil se hoti hai jatane se nahin hoti

faqat dil halka hota hai sukun milta hai kuchh lamhe
kami gham mein 'azim' aansu bahane se nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close