zamane ki tijori se nikal kar sunahri ho gaya lamhon mein dhal kar mukammal zaiqa us zahr mein tha zaban bhi khush hui thi dukh nigal kar hai do ruya talluq ki kahani bichhadte hain sadak ka rukh badal kar mohabbat chand ki sargoshiyan hain yahi sargoshiyan ab to ghazal kar zamana tak mein rakkhe hue hai hamein chalna padega ab sanbhal kar