zamane mein kisi ke hath mein patthar nahin milta

zamane mein kisi ke hath mein patthar nahin milta
magar mahfuz koi jism koi sar nahin milta

hai apne aap mein simta hua har shakhs duniya mein
koi khul kar nahin milta koi hans kar nahin milta

sakun ke waste har su bhatakti phir rahi duniya
dawa ho kargar jis ki wo chaaragar nahin milta

gunah kitne kiye ahl-e-siyasat ne magar phir bhi
koi ilzam ab tak to kisi ke sar nahin milta

jahan par do ghadi 'parwez' hum aaram kar lete
tumhaare shahr mein aisa koi bhi ghar nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close