haqiqat jaanta koi nahin hai

haqiqat jaanta koi nahin hai
bhale sab hain bura koi nahin hai

sab apni apni boli bolte hain
kisi ka ham-nawa koi nahin hai

jise pane ki sab ko hai tamanna
usi ko dhundhta koi nahin hai

khamoshi par meri sab lab-kusha the
magar ab bolta koi nahin hai

teri danist mein aamal tere
jahan mein dekhta koi nahin hai

bahaaren gasht karti hain chaman mein
magar patta hara koi nahin hai

teri ulfat ki chahat hai sabhi ko
magar mujh par fida koi nahin hai

khirad ki intiha main chahta hun
junun ki intiha koi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close