zamane mein wo mah-laqa ek hai hazaron mein wo dilruba ek hai khudawand-e-arz-o-sama ek hai qasam hai khuda ki khuda ek hai barabar hai apna wajud o adam hamari baqa aur fana ek hai adam ibtida hai adam intiha meri ibtida intiha ek hai na honge ye hadis rahega qadim gharaz sab hain fani baqa ek hai zara ghaur se miraat-e-dil ko dekh ye aaina-e-haq-numa ek hai jinhen kufr o ilhad kahta hai shaikh faqat pher hai rasta ek hai jahan mein hain ghafil bahut se tariq magar rah-e-sidq-o-safa ek hai maal-e-sukhan zikr hai yar ka kahun sau tarah muddaa ek hai mahal faqr ka hai ajaib maqam yahan masnad o boriya ek hai kahan us ke aage kisi ka farogh wo khurshid-ru mah-laqa ek hai fazilat mili ek ko ek par gharaz ek se yan siwa ek hai bachega na kawish se mizhgan ke dil ki nashtar bahut aabla ek hai jafakar dam-baz kazib muhil main waqif hun wo bewafa ek hai hai amboh-e-ushshaq isa ke ghar mariz itne darushshifa ek hai nahin bachta donon ka mara hua teri zulf aur azhdaha ek hai na aana tu us zulf ke pech mein are dil wo kali bala ek hai hazaron shahid-e-mohabbat hain dafn gali us ki aur karbala ek hai har ek dard ka hai mudawa wo lab maraz saikdon hain dawa ek hai dui ko na de dil mein ghafil jagah zaban ek hai aur khuda ek hai kahoge jo kuchh to sunoge bhi 'rind' hansi mein to shah o gada ek hai