jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai zindagi roz nae rang badalti kyun hai dhup ke qahr ka dar hai to dayar-e-shab se sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai tujh se mil kar bhi na tanhai mitegi meri dil mein rah rah ke yahi baat khatakti kyun hai mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab bu-e-awara se puchho ki bhatakti kyun hai