zamane par na sahi dil pe iKHtiyar rahe

zamane par na sahi dil pe ikhtiyar rahe
dikha wo zor ki duniya mein yaadgar rahe

kahan talak dil-e-ghamnak parda-dar rahe
zaban-e-haal pe jab kuchh na ikhtiyar rahe

nizam-e-dahr ne kya kya na karwaten badlin
magar hum ek hi pahlu se be-qarar rahe

hansi mein laghzish-e-mastana ud gai wallah
to be-gunahon se achchhe gunahgar rahe

ubhaarti hai hawas tauba-e-rihai ki
ki dil ke sath zaban kyun gunahgar rahe

dikha dun chir ke dil dard-e-dil kahun kab tak
zaban pe kyun ye taqaza-e-nagawar rahe

tadap tadap ke uthaunga zindagi ke maze
khuda na-karda mujhe dil pe ikhtiyar rahe

saza-e-ishq ba-qadr-e-gunah na-mumkin
yahi bahut hai ki barham mizaj-e-yar rahe

zamana us ke siwa aur kya wafa karta
chaman ujad gaya kante gale ka bar rahe

khizan ke dam se mita khub-o-zisht ka jhagda
chalo ye khwab hua gal rahe na khar rahe

jawab de ke na todo kisi gharib ka dil
bala se koi sarapa umid-war rahe

maza to jab hai 'yagana' ki ye dil-e-khud-bin
khudi ke nashe mein be-gana-e-khumar rahe

'yagana' haal to dekho zamana-sazon ka
hawa mein jaise bagula kharab-o-khwar rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close