zamanon se dar-e-imkan par rakkhe hue hain charaghon ki tarah tufan par rakkhe hue hain fazaon mein mahak jalne ki bu phaili hui hai kisi ne phul aatish-dan par rakkhe hue hain zara sa bhi guman teri shabahat ka tha jin par wo sab chehre meri pahchan par rakkhe hue hain khushi ko dhundhna mumkin nahin is kaifiyat mein kuchh aise sanehe muskan par rakkhe hue hain koi teri parastish ki nahin surat nikalti hazaron kufr ek iman par rakkhe hue hain shikam-seri se pahle lamha-bhar ko soch lena hamare khwab dastar-khwan par rakkhe hue hain kisi ke roz-o-shab bikne ki qimat chand luqme to kya wo bhi tere ehsan par rakkhe hue hain