zamin aur aasman hone se pahle yahan kya tha jahan hone se pahle yahan hun main wahan hone se pahle kahan tha main yahan hone se pahle tumhaari be-rukhi ka lutf lenge tumhaare mehrban hone se pahle amir-e-karwan banne ki zid hai sharik-e-karwan hone se pahle parindon par na tano us ko logo ye tahni hai kaman hone se pahle chhupi thi duriyan nazdikiyon mein hamare darmiyan hone se pahle namaz-e-ishq padhna hai zaruri chale aao azan hone se pahle sadaen koi to sun le hamari hamare be-zaban hone se pahle main qatra kah ke us ko chhedta tha samundar ko jawan hone se pahle chhupe the zabt-e-gham ki wadiyon mein mere aansu ayan hone se pahle chhupaen kis tarah se raaz apne kisi ke raazdan hone se pahle