zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla

zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla
tamaddun ke qadim aqdar badle aadmi badla

khuda-o-ahrman badle wo iman-e-dui badla
hudud-e-khair-o-shar badle mazaq-e-kafiri badla

nae insan ka jab daur-e-khud-na-agahi badla
rumuz-e-be-khudi badle taqaza-e-khudi badla

badalte ja rahe hain hum bhi duniya ko badalne mein
nahin badli abhi duniya to duniya ko abhi badla

nai manzil ke mir-e-karwan bhi aur hote hain
purane khizr-e-rah badle wo tarz-e-rahbari badla

kabhi socha bhi hai ai nazm-e-kohna ke khuda-wando
tumhaara hashr kya hoga jo ye aalam kabhi badla

udhar pichhle se ahl-e-mal-o-zar par raat bhaari hai
idhar bedari-e-jamhur ka andaz bhi badla

zahe soz-e-gham-e-adam khusha saz-e-dil-e-adam
isi ek shama ki lau ne jahan-e-tirgi badla

nae mansur hain sadiyon purane shekh-o-qazi hain
na fatwe kufr ke badle na uzr-e-dar hi badla

batae to batae us ko teri shokhi-e-pinhan
teri chashm-e-tawajjoh hai ki tarz-e-be-rukhi badla

ba-faiz-e-adam-e-khaki zamin sona ugalti hai
usi zarre ne daur-e-mehr-o-mah-o-mushtari badla

sitare jagte hain raat lat chhatkae soti hai
dabe panw kisi ne aa ke khwab-e-zindagi badla

'firaq' ham-nawa-e-'mir'-o-'ghaalib' ab nae naghme
wo bazm-e-zindagi badli wo rang-e-shairi badla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close