wo dukh jo soe hue hain unhen jaga dunga main aansuon se hamesha tera pata dunga bujhe labon pe hai boson ki rakh bikhri hui main is bahaar mein ye rakh bhi uda dunga hawa hai tez magar apna dil na maila kar main is hawa mein tujhe dur tak sada dunga meri sada pe na barsen agar teri aankhen to harf o saut ke sare diye bujha dunga jo ahl-e-hijr mein hoti hai ek did ki rasm teri talash mein wo rasm bhi utha dunga