zamin bichhai yahan aasman buland kiya phir us ne ek sitare ko arjumand kiya ajib rasta khulta chala gaya mujh par jab ek raat dar-e-khwab main ne band kiya pukarte the mujhe aasman magar main ne qayam karne ko ye khak-dan pasand kiya ajib baat thi ab ke mubarazat mein 'nadim' ki mujh ko meri hazimat ne fath-mand kiya