agar un ke lab par gila hai kisi ka to beja bhi shikwa baja hai kisi ka hasin hashr mein sar jhukae hue hain wafa aaj wada hua hai kisi ka wo joban bahut sar uthae hue hain bahut tang band-e-qaba hai kisi ka wo khud chahte hain koi ab satae satana maza de gaya hai kisi ka jo hain dast-e-gustakh apne salamat to jhuta hi wada wafa hai kisi ka wo kyun uth ke khalwat se mahfil mein aaen wo kya jaanen kya muddaa hai kisi ka bana lun khuda to bhi mere na honge buton mein koi bhi hua hai kisi ka koi god mein jham se aa hi gaya hai tasawwur hamein jab bandha hai kisi ka 'riyaz' aur hi rang mein mast hain ab suna hai pyala piya hai kisi ka