zamin chikh rahi hai ki aasman gira ye kaisa bojh hamare badan pe aan gira bahut sambhaal ke rakh be-sabaat lamhon ko zara jo sanki hawa ret ka makan gira is aaine hi mein logon ne khud ko pahchana bhala hua ki main chehron ke darmiyan gira rafiq-e-samt-e-safar hogi jo hawa hogi ye soch kar na safine ka baadban gira main apne ahd ki ye tazgi kahan le jaun ek ek lafz qalam se lahuluhan gira qarib o dur koi shola-e-nawa bhi nahin ye kin andheron mein hathon se shama-dan gira 'faza' ko tod to phenka hawaon ne lekin ye phul apni hi shakhon ke darmiyan gira