puchhte kya ho tera ye haal kaisa ho gaya tum na jaano to khuda jaane mujhe kya ho gaya aashiqi mein wahm badhte badhte sauda ho gaya qatra qatra jama hote hote dariya ho gaya wo sarapa naz hai mujh se bura to kya karun chaar ne achchha kaha jis ko wo achchha ho gaya aashiqi mein nam agar darkar hai bad-nam ho dekh sab kuchh ho gaya jab qais ruswa ho gaya kuchh ho lekin ab mera dil tum se phir sakta nahin ye to jis ka ho gaya kam-bakht us ka ho gaya apne pahlu mein bithaya aap ne aghyar ko dekhiye baithe bithae ka ye jhagda ho gaya le liya yaad-e-mizha ne mujh ko sail-e-ashk se dubne wale ko tinke ka sahaara ho gaya dagh-ha-e-hijr mein bhi dil mein hain khar-e-shauq bhi bagh ka bagh aur ye sahra ka sahra ho gaya le ke dil ilzam dete ho ghanimat hai yahi mal ka mul aa gaya adle ka badla ho gaya dil ki ghabrahat nasim-e-subh-dam se kam hui wo na aae ghaib se saman paida ho gaya kya yahi hai sharm tere bhole-pan ke main nisar munh pe donon hath rakh lene se parda ho gaya meri har ek baat qanun-e-mohabbat hai magar ai safi' main shairi karne se jhuta ho gaya