zamin-e-chashm ke sine pe panw dharte ashk

zamin-e-chashm ke sine pe panw dharte ashk
jahan-e-hijr se shorida-sar guzarte ashk

ghanim-e-naghma-e-ishrat ko kya dikhai den
gharib-e-shahr ki aankhon mein raqs karte ashk

masih ban ke libas-e-visal utra hai
kisi ki shaal pe gir kar jiye hain marte ashk

namak hai aankh ka sat-rangiyan nahata hua
qaba-e-zakhm ke reshon mein rang bharte ashk

hamara girya muakhkhar hua tasalli se
dilasa deti nazar se chhupe hain darte ashk


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close