zamin farsh falak saeban likhte hain hum is jahan ko apna makan likhte hain hamare ahd ki tarikh munfarid hogi lahu se apne jise naujawan likhte hain ye jhut hai ki haqiqat ye jabr hai ki khulus jo bewafa hain unhen mehrban likhte hain jo aane wale zamanon se ba-khabar kar de jabin-e-waqt pe wo dastan likhte hain samundaron ke sitam ki kahaniyan 'jami' darida hote hue baadban likhte hain