zamin jab bhi hui karbala hamare liye to aasman se utra khuda hamare liye unhen ghurur ki rakhte hain taqat o kasrat hamein ye naz bahut hai khuda hamare liye tumhaare nam pe jis aag mein jalae gae wo aag phul hai wo kimiya hamare liye bas ek lau mein usi lau ke gird ghumte hain jala rakha hai jo us ne diya hamare liye wo jis pe raat sitare liye utarti hai wo ek shakhs dua hi dua hamare liye wo nur nur damakta hua sa ek chehra wo aainon mein haya hi haya hamare liye darud padhte hue us ki did ko niklen to subh phul bichhae saba hamare liye ajib kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhti hai tumhaare shahr ki aab-o-hawa hamare liye diye jalae hue sath sath rahti hai tumhaari yaad tumhaari dua hamare liye zamin hai na zaman nind hai na be-dari wo chhanw chhanw sa ek silsila hamare liye sukhan-waron mein kahin ek hum bhi the lekin sukhan ka aur hi tha zaiqa hamare liye
This is a great karbala shayari wallpaper. Please share if you liked this!!!