zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge khala rahega qadam hum jahan na rakkhenge jawab dena padega hamein khamoshi ka so tai kiya hai ki munh mein zaban na rakkhenge kahin izafa kahin hazf to kahin tarmim kahin ki ab wo meri dastan na rakhenge tule hain hath jo wirse pe saf karne par kisi bhi daur ka baqi nishan na rakkhenge bata rahe hain hum ehsan jatane walon ko jo sar pe bojh ho wo saeban na rakkhenge numu ke waste koshan hain is yaqin ke sath bade hue to hum is ka guman na rakkhenge agar ho wajh-e-talluq to hum se dur raho koi bhi fasla hum darmiyan na rakkhenge jab apne ghar mein hi apni ana ko khatra hai hum apne pas ye jins-e-giran na rakkhenge kisi ne mara hai shab-khun aisa rahi par ki ab wo subh talak tan mein jaan na rakkhenge