tumhin batao pukara hai bar bar kise aziz kahte hain gham-ha-e-rozgar kise sukut-e-raaz kaho ya sukut-e-majburi magar labon ki jasarat thi nagawar kise khizan mein kis ne bahaaron ki dilkashi bhar di duaen deta hai daman ka tar tar kise kahan wo dagh ki dil ka guman kare koi samjhiye ahd-e-tamanna ki yaadgar kise nasim-e-subh ka ghunchon ko intizar sahi hawa-e-dasht hun main mera intizar kise shaguftagi ka ishaara hai phul barsenge na jaane aaj nawaze-gi shakh-e-dar kise jarahaton ke khazane luta diye 'taban' kiya hai rah ke kanton ne itna pyar kise