zamin ke zakhm ko pahle rafu kiya jae phir us ke baad darida falak siya jae hamara aks agar darmiyan na hail ho to aaine ko gale se laga liya jae ye zindagi to purani sharab jaisi hai ye kadwa ghunt hai lekin ise piya jae jo raftagan hain unhen laut kar nahin aana ab intizar ka bistar utha diya jae tumhaari yaad ne shab-khun marna hai to kya dil-o-dimagh se pahra hata diya jae hamare sar pe jo tuta hai aasman to kya ab aasman ko sar par utha liya jae