kaisi aashuftagi-e-sar hai yahan ras sahra yahan na ghar hai yahan ek gham hai ki be-mudawa hai ek rona ki umr bhar hai yahan jo bhi kawish hai be-sila be-sud jo shajar hai wo be-samar hai yahan ek masafat ki tai nahin hoti manzilon manzilon safar hai yahan yun riwayat se kat gae lekin tajraba jo hai talkh-tar hai yahan