zamin ki baat hai dil mein magar ambar nikalta hai sabhi dariya ke dil mein aaj-kal sagar nikalta hai zaban par tyag ki baaten magar paise ke lobhi hain hamari jeb se kaghaz qalam aksar nikalta hai hamesha dil mein rahti hai zamane bhar ki kadwahat magar jab ghar se chalta hai sada hans kar nikalta hai yahan par aankh ka dekha hamesha sach nahin hota jise patthar samajhte hain wo paighambar nikalta hai koi ghalati na ki hum ne magar har waqt jaane kyon hamare waste har hath mein patthar nikalta hai